Monday, January 4, 2010

NAYA SAAL

Kal kya hoga?
naya saal hoga.
na jane, fir
kya-kya hoga?
vahi chand tarey
rat din vahi hoga.
jasn bhe manega
khushiya bhe hogi
sandeso ka aana
jana bhe hoga
naye yojnaye
naya rup legi
kaye kutch kadam
chal-kar dam tore degi
kaye zindgi ko naya
more degi.
kal kya hoga
naya saal hoga.
khati-mithi
kutch yadey bhe hogi.
naya mileyga koi
to kisi se bichurna bhe hoga.
umido ka chaman
guljar kahi
to kahi viran bhe hoga.
akhir, zindgi ki hakikat ko
samajhana hi hoga.
kal kya hoga?
naya saal hoga.
Written by-R.Vivek
E-mail-vivek2174@gmail.com

1 comment: