Monday, January 4, 2010

AKANCHHA

Bahey kholkar
ankho me aasa liye
dekh raha hu,main gagan.
har naye din ka,
besabri se
kar raha hu,ahavaan.
khusiya,prem sauhard ka,phool khiley.
har kayari har chman.
hava bahe,chano aman ki
jaise baheti hai,
ye alahre pavan
man titli bankar urta rahe.
kabhi ye chaman,
to kabhi vo chaman.
vasundhara hari bhari bani rahe,
nila bana rahe ye gagan
gar gila shikava
kabhi dastak de
to dur ho aiyse
jaise har chan
badalney ka hai chalan.
samirdhi, sampanta ,barti rahe
dino din unati ke sikhar par charta rahe
aur hota rahe,
mera bharat mahan
mera bharat mahan..
Written by - R.Vivek
E-mail-vivek2174@gmail.com

2 comments:

  1. aap ki kavitao ka daaj dene padegi..
    kya aap likhate hai...
    aap ise tarah continue kiye rahiye...

    ReplyDelete