Monday, January 25, 2010

GARTENTRA DIVAS

Ateet ke bharat,aur vartmaan ke bharat
ke darmayan, gartentra divas ke sath(60) saal
kya khoya, kya paya?
kya huaa, bharat ka haal?
vishv ki chauthi aarthik arthvyvastha bani
suchana kranti,.pramanu parichan me kiya kamaal
kaye aur karname kiye
vishv biradari me jamayee apni dhaak
teen yud lare,kaye trasdi jhali
khud ke ghar me huye,kaye gaddar
hamne khoya kaye apne ko
dhanya hai vo maye, jo janme aise laal
tinke-tinke jorkar,samvidhan banaya
jinmey shamil kiye 395 anuchhed
12 anusuchiya aur 25 bhag
samvidhan ki prastavana ko
samvidhan ki kunji kaha
desh ki akhandta,basundharm kutumkam
banaye rahne ke liye, kaye upay
par bharat vaha na pahucha
jaha dekha tha,ateet me sapna
lootghasot, bhshtrachar, har tantra
me pair faila liya hai apna
ense nijat kaise mile
enke liye ,jimmedar kauin hai kitna
ateet ke bharat,aur vartmaan ke bharat
ke darmayan,gartantra divas ke sath saal

written by-R.VIVEK
E-mail-vivek2174@gmail.com

















\

Thursday, January 7, 2010

Zustazu-A-Manjil

आँखों में चमक
दिल में हैं,हसरत
की अभी अस्मा छूना हैं बाकी
चलना है बहुत दूर
तो किसका इंतज़ार है बाकी
निकले थे घर से
तो एक मेरा खुदा
और दूजा मेरा वजूद ही था काफी
औए यहाँ कोई नहीं ,किसी का है साथी
बस तकदीरे इबारत, हर किसी को
अपनी तदवीर से है लिखनी
आँखों में चमक
दिल में है हसरत
की अभी अस्मा छूना हैं बाकी
गिरते भी रहे, संभलते भी रहे ,
उठ-उठकर चलते भी रहे
वक़्त बे-वक़्त यह कहते भी रहे
की चलना है अभी बहुत दूर
तो किसका इंतजार है बाकी
अभी युवा हुए, पल दो पल ही हुए है
अभी तो दमदख दिखाना है बाकी
गर रहो में मिल जाये,गिर या समंदर भी
तो उन्हे कदमो तले लाना है बाकी
जुस्तजू है हर किसी को,
किसी न किसी की
मकसद असली मुकाम पर पहुचना है बाकी
चलना है बहुत दूर
तो किसका इंतजार है बाकी ||
Written by-R.Vivek
E-mail-Vivek2174@gmail.com

Monday, January 4, 2010

AKANCHHA

Bahey kholkar
ankho me aasa liye
dekh raha hu,main gagan.
har naye din ka,
besabri se
kar raha hu,ahavaan.
khusiya,prem sauhard ka,phool khiley.
har kayari har chman.
hava bahe,chano aman ki
jaise baheti hai,
ye alahre pavan
man titli bankar urta rahe.
kabhi ye chaman,
to kabhi vo chaman.
vasundhara hari bhari bani rahe,
nila bana rahe ye gagan
gar gila shikava
kabhi dastak de
to dur ho aiyse
jaise har chan
badalney ka hai chalan.
samirdhi, sampanta ,barti rahe
dino din unati ke sikhar par charta rahe
aur hota rahe,
mera bharat mahan
mera bharat mahan..
Written by - R.Vivek
E-mail-vivek2174@gmail.com

NAYA SAAL

Kal kya hoga?
naya saal hoga.
na jane, fir
kya-kya hoga?
vahi chand tarey
rat din vahi hoga.
jasn bhe manega
khushiya bhe hogi
sandeso ka aana
jana bhe hoga
naye yojnaye
naya rup legi
kaye kutch kadam
chal-kar dam tore degi
kaye zindgi ko naya
more degi.
kal kya hoga
naya saal hoga.
khati-mithi
kutch yadey bhe hogi.
naya mileyga koi
to kisi se bichurna bhe hoga.
umido ka chaman
guljar kahi
to kahi viran bhe hoga.
akhir, zindgi ki hakikat ko
samajhana hi hoga.
kal kya hoga?
naya saal hoga.
Written by-R.Vivek
E-mail-vivek2174@gmail.com