Wednesday, December 23, 2009

Nari ka sansaar

Mera mujhme kya hai
bas chhota sa ek sansaar
arpit kar diya,zivan sara.
do gharo ke duir,
mainka apna chhuta
sabhal liya, piya ka ghar-baar
mera mujhme kya hai
bas chhota sa ek sansaar
saas nanad ka tana suna
shosar huaa kaye baar
khilaft unki kabi na kiya
nibaya dharm, nari ka har bar.
ta-umr bankar rahi, main unki panagaar
mera mujhme kya hai
bas chhota sa ek sansaar
Khile phool jab zivan mein
tab hua gulsan guljaar.
Fir umarney lage kaye armaan
dekh usey aisa lagey
apna bachpan, fir se lauit aya.
Mere aagan me ek-bar.
mera mujhme kya hai
bas chhota sa ek sansaar
By R.Vivek

No comments:

Post a Comment